Saturday, May 29, 2010

Sant Shri Asaramji Ashram Jind ka nirman karya aarambh ho chuka hai. sabhi sadhak Pujyashree ke Jind aagman ki prarthna v shub sankalp karey

Shri Sureshanand ke lagbhag 40 video bhajan ek hi dvd me hai. 'Shri Sureshanand ji ke bhajan sangrah' . Now each dvd only Rs.50.

Her pal Guru ke didar ka intjar rehta hai- Sureshanand ji ka ye naya bhajan nayi vcd Prerna Jyot me hai. Now each vcd Rs.30 only.

Kal Bapuji ne Rohini satsang me nayi vcd 'Prerna Jyot' ka vimochan kiya tha. Pujyashree ke charno me shardha badhane ke liye jaroor dekhey.

Pujya Bapuji's next satsang program : Narnaul (Hry.) 16 (evening) & 17 (full). Hari Hari om.

Aaj Mokshada Ekadashi hai. upvas rakhe. aaj GITA Jayanti bhi hai. Gitaji ki aarti kare, adhyan v manan kare.Gita mata ki sharan jaye.

Vyatipat yog : aaj 6:09 pm to kal 3:55 pm tek .is avsar ka adhik se adhik labh le. khub jab kare. ye gurumanter ka jap lakh guna phal dega.

Jind me Divya Prerna prakash pertiyogita 4 Jan.09 ko hogi. 8 to 12 class ke students bhag le sakte hai. Fees- Rs 5. (divya prerna book free)

Khuskhabri - Next poonam dershan & satsang : 12-14 Dec. Japani park , Rohini, Delhi.

Abhi chander, guru & shuker ek sath dikh rahe hai. unka dershan kerke subh sankalp kerne se manvanchit phal milta hai. sabhi labh le.

Hey Prabhu ananddata gyan humko dijiye -is bhajan ko bar-2 dohraye to Bharat ko vishavguru banane ka sankalp jaldi sakaar hoga Bapuji Bikaner

Til ka tail, triphla, sahed sam bhag milakar ,roj 10 gram khaye ,40 din khalo to bhi bahot sari bimari mit jaygi -Bapuji Bikaner 30-11-08

Bal Sanskar Kender's new timings from today. H.no.2415 Urban Estate: 3 to 4 pm & Crystal school opp jat dharamshala housing board: 4 to 5 pm

Somnath mandir me her sunday subhay 10 to 12 satsang hota hai. Rishi Prasad ( Neter Bindu free ) ke sadasya bhi banaye jate hai.

Sewa Ka Suavsar - Jind me bhi ye pratiyogita hogi. Adik jankari v sewa ke liye somnath mandir me hone wale saptahik satsang me aaye.

Sant Shri AsaramjiAshram ki aur se Divya Prerna Prakash Pratiyogita aayojit ki ja rahi hai. 8 to 12 class tek ke students ke liye. Fees Rs.5

Aaj Utpatti Ekadashi hai. Ekadashi ka upvas bhakti badhane me aur paap katne me samarth hota hai. vrat rekhey aur bhagvannaam jape.

Sureshanand ji ne Vadodara poonam me bataya ki Gita ke in 5 shaloko ko roj padne se bhakti v shardha badti hai. 24-9, 55-11,8-12, 2-13,78-18

Bilv & Palash ke patey & ghee & mishri - sambhag le ker powder bana le. Gaay ke kande per dal ker dhop kare to budhi viksit hogi. - Bapuji

Bhukh cum lagti ho to ye chatny khaaye. 2/3 khajur, 5 gram adrak, kalimirch aur saindha namak, dhaniya/ pudina. -Bapuji Kota (15-11-2008)

Gaay ke gober ke kande pe ghee dalkar dhup kare aur omkar ka jap kare. 70 hajar boise urja banaataa hai. - Bapuji vadodara poonam 13-11-2008

Jin sadhako ko apne vyast jivan se 40 din nikal ker manter anusthan kerna kathin lagta hai. Aaj ka labh jaror le. Adhikm japam adhikm falam

Aaj Vishnupadi Sankranti hai. Is din kiya gya jap anant guna fal deta hai. Koshish kerke adhik se adhik mala karey v suavser ka labh le.

Bapuji ne abi Vadodara me bataya ki Ishant Sharma (cricketer) jise man of the series ka inam mila h vo sadhak hai v sadhak parivar se hai.

Bal sanakar me hum sab ko pahuchado. humko ache sanskar dila do.- Is bhajan per abhi vadodara me Bapuji ke sanidye me bacho ne natica ki.

Sureshanand ji ne abbhi Vadodara ke satsang me kaha ki Divya prerna prakash, ishwer ki aur v Bal sanskar pustako ko apne pados me batey.

Pujya Bapuji ne abhi thodi der pehle Vadodara ke satsang me bataya ki kali mirch ke churan ko ghee-boora sang khane se neter jyoti badti hai

Pujya Bapuji ne abhi thodi der pehle Vadodara ke satsang me bataya ki harad v saunth ko mila ker lene se kaff sambandhi bimari door hoti hai

Itne kuperchar ke baad bhi vadodara me satsangiyo ki itni sankhya hai, ye mere gurudev ki kripaprasadi hai.- Bapuji Vadodara 11-11-08

13 Nov08 ka Poonam satsang v darshan subhay Vadodara and 3:30 pm se Kota main. Hari Hari BOl

So man doodh ko vish ki ek bound bigaad deti hai. usi prakar chota sa vikar , poora jivan bigad dega.- Pujya Dada Guruji.

Kal Devuthi Ekadashi hai . Upvas rakey . Rice to bhul ker bhi na khae. Kapoor se Vishnu bhagwan ki aarti kerne se durghatnao se raksha hogi.

Satsang ki aadi ghadi ... Kal Somnath mandir me saptahik satsang me subah 10 to 12 sparivar jarur aaye .

1 comment:

  1. Wah ji wah apena to sara massege ko itna Saral Banea Diya kya kahun Hari om ji and Thanx

    ReplyDelete